Ye dilli hai dil valon ki,
Kuch goron ki kuch kaalon ki,
Maa-baap ke bigare hue laalon ki,
Mehbooba ke chehre pe pare pimple naamak chhalon ki,
University mai ghumti kaatil haseena ke ghane baalon ki,
Buddha garden mai batihe hue logon ke karnaamo se paida hue bawaalon ki,
Karol-bagh/connaught-place/india-gate mai gori chamri valon ke charon taraf mandraate hue autovaalon ki,
Gali-mauhallon mai shor machaate sabziwalon ki,
Sarkaari daftaron mai ghoomte dalalon ki,
Chandni chowk ke chunky chaat masalon ki,
Aakash/time/fiitjee mai baithe bachon ke sawalon ki,
Bina helmet ke raat bhar bikon pe ghumte matvaalon ki,
Parchoon ki dukaan pe baithe lallon ki,
Lambi gaari mai tangri kebab aur johniee walker ka maza lete south-ex ke ameeron ke mehekte rumalon ki,
Red light pe bheek-maangte/pencil-bechte/
Thaanedaar ke manmauji saalon ki,
Mujh jaise betuke kawwalon ki,
Kuch goron ki kuch kaalon ki,
Ye dilli hai dilvalon ki.